Ek din!

Wednesday, April 5, 2023

Aansoo khushi ke ho ya ho gam ke, 

Aankho se to khud ki hi girte hain 

Jab khud ko hi sambhalna hota hai har baar,

To log jane kyun milte hain ?

Mana ki zindagi ka tareeka hai ye, 

Aur din sabke kabhi na kabhi badalte hain

Kya bas ek kitaab main doob kar,

Is umr ke sare din guzar sakte hain ?


Jo hona tha wo ho hi gaya,

Aur dil sabke abhi bhi sache hain...

Chahe kitna bhi soch le ham, 

Kismat ke hath hi sare patte hain 

Waqt hi hai jo samjhata hai sab kuch, 

Lekin bas tajurbe lagte hain ...

ek din aisa aayega shayad, jab kahenge ham,  ki ham zindagi ko khoob samajhte hain !! 




0 comments:

Post a Comment